Tuesday 25 January 2011

Yaar Dadhi, Lyrics & Translation



Ishq te aatish Dohon Barabar
Ishq aur aag dono barabar
Love and fire are the same
At ishq da ta wadera
Ishq ki garmi aag se ziada hoti hai
The heat of love overweighs the heat of fire
Aatish sarre kakh te kaan ate ishq sarre dil jaira
Aag tou jeezein jalati hai, megar ishq dil jalata hai
Fire burns material, but love burns the heart
Aatish paani naal bujhe di
Aag tou paani se bhuj sakti hai
Fire can be put out by water but…
Ishq da daru kera?
ishq ki kiya dawa hai? Daru = dawaa
What is the remedy of love?
Gulam Farid
Baba Gulam Farid is a famous poet
Uthe chah na rekhein jithe ishq laye da gera
Wahaan piyaar na karna jahaan ishq ka ana jana hai
Don’t fall in love where the intensity of love is high
Yaar dadhi ishq aatish .. layi hai
Is ishq ne bohot ziada aag laga di hai
This love has burnt a lot (created a lot of fire)
Ve yaar sano. Ve dost sanu lag gaye be akhtiyaari
Mere dost, mera apne aap per qaabu nahi raha
Friend, I don’t have control over myself
Seene de wich na samayi hai
Dil mein chhup nahi rahi.
I cannot contain it in my heart
Hul hula ke ishq jo aya. Mohhabbat wala shor machaya
Koshish ker ke ishq tou kar liya hai aur us ka shor bhi macha liya hai
With a deliberate effort, I have loved and I have made it clear (screamed out my love)
Gathi gathi sham ayi hai
*not sure what gathi gathi means, so i’ll leave this one up to some expert in urdu*
Ishq awera bahan na denda
Ishq behne nahi deta. Awera = ajeeb
This strange love doesn’t even let you drown
Ki kedan ker mast kerein da
Kabhi kabaar tou bilkul paagal ker deta hai
Sometimes love makes you crazy

Saturday 22 January 2011

Faiz Ahmed Faiz


husn marHoon-e-josh-e-baada-e-naaz
ishq minnat-kash-e-fusoon-e-niyaaz

dil ka har taar larzish-e-paiham
jaaN ka har rishta waqf-e-soz-o-gudaaz

sozish-e-dard-e-dil kise maaloom
kaun jaane kisii ke ishq ka raaz

merii KhaamoshiyoN meN larzaaN hai
mere naale ki gum-shudaa aavaaz

ho chuka ishq ab havas hi sahii
kyaa kareN farz hai adaa-e-namaaz

too hai aour ik taghaaful-e-paiham
maiN hooN aour iNtezaar-e-be-aNdaaz

Khauf-e-naakaami-e-ummiid hai ''faiz''
varnaa dil toRh de tilism-e-majaaz