Saturday 22 January 2011

Faiz Ahmed Faiz


husn marHoon-e-josh-e-baada-e-naaz
ishq minnat-kash-e-fusoon-e-niyaaz

dil ka har taar larzish-e-paiham
jaaN ka har rishta waqf-e-soz-o-gudaaz

sozish-e-dard-e-dil kise maaloom
kaun jaane kisii ke ishq ka raaz

merii KhaamoshiyoN meN larzaaN hai
mere naale ki gum-shudaa aavaaz

ho chuka ishq ab havas hi sahii
kyaa kareN farz hai adaa-e-namaaz

too hai aour ik taghaaful-e-paiham
maiN hooN aour iNtezaar-e-be-aNdaaz

Khauf-e-naakaami-e-ummiid hai ''faiz''
varnaa dil toRh de tilism-e-majaaz

No comments: